Woh Khuda Ban Baitha
Language: Urdu
€13.63
Kahaniyon Ka Safar
Synopsis
Har insan ko apni zindagi ke faisle khud karne ka ikhtiyar hota hai. Magar jab koi dusra yeh haq bhi apna samajh le, to kahani kis modh par jaa kar rukti hai? Kuch faisle, kuch rishtey aur ek aisa shakhs jo shayad apni hadh hi bhool baitha.
“Woh Khuda Ban Baitha” 📖✍🏽
About Mariam Naaz Mughal
Mariam Naaz Mughal, 36 saala, Professional bachelor's degree in teaching ki taleem hasil
kar rahi hain aur bachon aur naujawanon, khastaur par special needs rakhne walon ke saath
kaam karne mein dilchaspi rakhti hain.
Unhein likhne aur alfaaz ke zariye apne khayalat aur jazbaat ka izhar karne ka shauq hai.
Woh mukhtalif mauzuat par kain chhoti bari tehreerein aur nazmein bhi likhti rehti hain
apne social media par. Unka Facebook par ek fanpage bhi hai: “Kahaniyon ka safar” ke naam
se. Zaroor jaa kar follow kijiye aur apni raaye bayan kijiye.
“Woh Khuda Ban Baitha” unki pehli kitab hai aur unke likhne ke safar ka ek khaas qadam
hai. Unki koshish hai ke yeh tehreer qari ko sirf ek kahani na de, balkey usse kuch mehsoos
karne aur apne andar jhaankne ka mauqa bhi de. Yeh kitab unki saalgirah ke din hi launch
hone jaa rahi hai, 30th of september.
Online websites par maujood hogi yeh kitab. Links fanpage par miljayenge aap ko.
Zaroor khareediyega aur is kitab ko padhiyega. ❤
Product specifications
| Binding | eBook (PDF) |
|---|---|
| Language | Urdu |
| Publishing date | Friday, 9 October 2026 |
| Edition | 1 |
| Publisher | Kahaniyon Ka Safar |
| Author | Mariam Naaz Mughal |
| Category | Religion and spirituality > Spirituality |